Wednesday, January 23, 2008

Dilip Thapa

naa jaane kya hame aansu bahana nahi aata.
naa jane kyu haal-e dil batana nahi aata.
kyu dost bichad gayi humse,
shayad hame hi sathnibana nahi aata

kahi andhere to kahi sham hogi,
meri har khushi DOSTI ki nam hogi,
kuch mang ke to dekho dost,
hontope hasi aur hateli pe jan hogi.

dosti sacchi ho to wagt rukh jata hai,
assma jitne ucha ho magar jhuk jata hai.
dosti me dunia lahkbane rukawat,
dost saccha ho to khud bhi jhuk jata hai..

sitaran ke aage bhi koi jahan hoga,
jo na dekho kabi wo sama hoga.
us jahan ke sare hasin nazaro ko kasam,
aap se hasin dost dusra kahan hoga.

sabhi ko sab kuch nahi milta.
nadi ki har lahar ko sahil nahi milta.
ye dil walon ki duniya he dost.
kisi se dil hani milta to koi dil se nahi milta.

aisa nahi ki aapki yaad aati nahi...
khata itni hain ki hum batate nahi..
dosti aapke anmol hain hamara liye..
samajhte ho aap isliye jatate nahi..

har nazar ko ek nazaar ki tallash hai,
har chare me kuch to ahsaas hai,
hum aapse dosti yuhi nahi karbaithe,
kya kare hamari pasand hi kuch khas hai.

na sathi na humsafar hai koi,
na kisike hum na hamara hai koi,
par aapko dekh ke kehe sakate hai,
ek pyara sa dost hamara bhi hai koi.