Wednesday, December 12, 2007

by: Sanjita Karki

Jo Saaz Se Nikli Hai, Woh Sada Sab Ne Suni Hai
Jo Saaz Pe Guzri Hai, Woh Kis Dil Ko Khabar Hai

Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi Koi
Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi Koi

Tum badle, jahan badla, badli nazar zamane ki
Yeh Aansu char baqi rah gaye, nishani dil lagane ki

In Udaas Muskurahaton Ke Peeche,Ghum Ke Railay Hain
Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain

Mujhe Is Baaat Ka Ghum Nahi Kay Badal Gayaa Zamaana
Meri Zindagi To Sirph Tum Ho, Kahin Tum Na Badal Jaana

Maana ke aapke nazaron main kuch nahin hain hum
Magar unse jakar puchiye jin-hain hasil nahi hain hum

Aadi bana kar lazzat-e-aazaar ne mujhey
Gham ki khalish ko dil ki tamanna bana diya

Khuda kisi ko kis par fidaa na kare,
Agar kare to Qyamat tak judaa na kare

Huwi hum se ye nadani, kay teri mehfil mein aah bethay.
Ho kay zameen ki khakh, aasman se dil laga bethay

Jinki yaad hai dil me nishaani ki tarah
Woh to bhool gaye hume kahani ki tarah.

Galat nahin key zamaney mein la jawaab hain hum
Samajh sakey na koi woh kitaab hain hum

Aandhi aati hai, tufaaan chale jaate hain
Yaade rah jaati hai, insaan chale jaate hain