Thursday, February 28, 2008

sunayena sakya

Jinki najar taraste the meri ek didar ke liye
aaj wo najar churake jane lage main dekhti reha gayi

jinki dil dharak ti thi meri naam se
aaj mujhe tanha chor gaye main tarapti reha gayi

aaj me wo kal ki baat na rahi kahan kho gayi
zeher wo mujhe pilake gaye main khushi se pi gayi…

ye dil bhi dekho pagal hai samjhti hi nahi
wo na raha aaj tera samjha samjha ke main haar gayi….

Iss tarah pheroon tumhe,
sochta rehta hoon,
Meri harr saans tumhare naam likhi ho jaise..

Tu jidhar jaae, bikhre khusboo,
Ho jaae diwani har nazar,
Tere aane se kya sakoon mile,
Kya shae hai tu, Kya tera asar..

durr rehkar bhi pyar ka rishta nibhate hain aap,
naajane kyun dil ko lubhate ho aap,
yeh kaisa karishma hai aapka,
jo humko itna yaad aate hain aap..

Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
qismat se apni sabko shikayat kion hoti hai,
ajeeb khel khelti hai qismat,
jise hum paa nahin sakte usee se mohabat kyun hoti hai…

Jab kabhi mausam mein khusboo bhikhar jaae,
Jab kabhi chandni mein raat nikhar jae,
Jab bewajah hi dharkanein machal jaaen,
to samajh lena ki humne aapko yaad kiya….

Dur rehkar kareeb rehne ki aadat hai,
yaad bankar aankho se behne ki aadat hai,
kareeb na hote hue bhi kareeb paoge,
mujhe ehsaas bankar rehne ki aadat hai.

Jinke liye hum yaha khud ko jala rahe hai,
woh dur humse kahi khushiyan mana rahe hai,
jinki judai hamare jaan pe aayi,
wo apni zindagi saja rahe hai.

Safar lamba hai, Dost banate rahiye,
Dil mile na mile, Hath badhate rahiye,
Taj na banaye, Costly padega,
Har taraf Mumtaj banate rahiye.

**
Suno!
Mehsoos karo,
Badal ki Garaj,
Bijli ki chamak,
Barish ki ek ek bond,
Tum se
Cheekh cheekh kar
Kah rahi hai,
“Ab to naha lo”

**
Marne par humain janat mile na mile,
Ye hava ye fiza mile na mile,
SmS karne main kasar mut chorna
Maloom nahi opar jaa kar mobile mile na mile

**
Aap k chehre pear ghazub ki smile hai
Suna hai aap k pass b mobile hai
Jis mein “SmS” ki aik moti is file hai
Phir bhi sms nahi karte yeh kon as style hai

**
Gandhiji Ager DON Hote To Kahte
Hamare Sir Per Baal Aane Ka IntZaar to
11 Dukanon k Hajam Kar Rahe Hain
Lekin Takle Per Baal Aana Mushkil he Nahi Namumkin Hain

**

Aapko phone kiya to network bola,
Namaskar, paglo ki duniya me aapka swagat hai,
Aap jis pagal se baat karna chahte hai
Is waqt uska DIMAAG switch off hai plz try later

**

Aap k brain ki x-ray report AA gai hai,
10g mitti, 10g kankar pathar, 25 type k kire makore,
5g makri k jale and 500g bhusa.
Kamal hai! Mujhe lagta tha k khali hoga

**

Chuhe ne sherni ko Propose Kiya.
Sherni : Chal Bay!! Kabhi Shishe Me Apni Shakal Dekhi hai?
Chuha: Are Pagli Shakal Pay Mat Jaa Confidence Dekh


karoge yaad to har baat aayegi
suhane waqt ki har mauj tahar jayegi
talash karoge hamse behatar dost koi
nazar door tak jayegi aur laut aayegi

har duwa kabool nahi hoti
har aarzu puri nahi hoti
jinke dil me aap jaisa dost ho
unke liye dhadakan bhi jaruri nahi hoti

khuda kare har raat chand ban ke aye
din ka ujala shaan ban ke aye
kabhi dur na ho apke chehre sehasi
naya din aisa mehaman ban ke aye

pee hai sharab har gali har dukan se
ek mohabbat si ho gai hai sharabke jaam se
gujare hain hum kuch aise mukam se
ki nafarat si ho gai hai pyar ke naam se

Tera dard hai ki ro bhi nahi paa rahe hain,
Hosh- gum hain, nahi jaante kahan jaa rahe hain,
Humne to tumhare bina duniya bhi nahi dekhi,
Aaj saaari duniyan mein khud ko tanha nazar aa rahe hain.


Tere hontho se kabhi muskan na jaye
Tere palkon pe kabhi aansu na aaye.
Teri Rahon me pade ho kante jo bhi
Main haath Rakh du aur tu guzar jaye